kareñge  ahl-e-nazar  taaza  bastiyāñ  ābād
mirī  nigāh  nahīñ  sū-e-kūfa-o-baġhdād
ye  madrasa  ye  javāñ  ye  surūr  o  ra.anā.ī
inhīñ  ke  dam  se  hai  mai-ḳhāna-e-farañg  ābād
na  falsafī  se  na  mullā  se  hai  ġharaz  mujh  ko
ye  dil  kī  maut  vo  andesha  o  nazar  kā  fasād
faqīh-e-shahr  kī  tahqīr  kyā  majāl  mirī
magar  ye  baat  ki  maiñ  DhūñDtā  huuñ  dil  kī  kushād
ḳharīd  sakte  haiñ  duniyā  meñ  ishrat-e-parvez
ḳhudā  kī  den  hai  sarmāya-e-ġham-e-farhād
kiye  haiñ  faash  rumūz-e-qalandarī  maiñ  ne
ki  fikr-e-madrasa-o-ḳhānqāh  ho  āzād
rishī  ke  fāqoñ  se  TuuTā  na  barhaman  kā  tilism
asā  na  ho  to  kalīmī  hai  kār-e-be-buniyād