kho  na  jā  is  sahar  o  shaam  meñ  ai  sāhib-e-hosh
ik  jahāñ  aur  bhī  hai  jis  meñ  na  fardā  hai  na  dosh
kis  ko  mālūm  hai  hañgāma-e-fardā  kā  maqām
masjid  o  maktab  o  mai-ḳhāna  haiñ  muddat  se  ḳhamosh
maiñ  ne  paayā  hai  ise  ashk-e-sahar-gāhī  meñ
jis  dur-e-nāb  se  ḳhālī  hai  sadaf  kī  āġhosh
na.ī  tahzīb  takalluf  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
chehra  raushan  ho  to  kyā  hājat-e-gulgūna  farosh
sāhib-e-sāz  ko  lāzim  hai  ki  ġhāfil  na  rahe
gaahe  gaahe  ġhalat-āhañg  bhī  hotā  hai  sarosh