huā  na  zor  se  us  ke  koī  garebāñ  chaak
agarche  maġhribiyoñ  kā  junūñ  bhī  thā  chālāk
mai-e-yaqīñ  se  zamīr-e-hayāt  hai  pur-soz
nasīb-e-madrasa  yā  rab  ye  āb-e-ātish-nāk
urūj-e-ādam-e-ḳhākī  ke  muntazir  haiñ  tamām
ye  kahkashāñ  ye  sitāre  ye  nīl-gūñ  aflāk
yahī  zamāna-e-hāzir  kī  kā.enāt  hai  kyā
dimāġh  raushan  o  dil  tiira  o  nigah  bebāk
tū  be-basar  ho  to  ye  māna-e-nigāh  bhī  hai
vagarna  aag  hai  momin  jahāñ  ḳhas  o  ḳhāshāk
zamāna  aql  ko  samjhā  huā  hai  mish.al-e-rāh
kise  ḳhabar  ki  junūñ  bhī  hai  sāhib-e-idrāk
jahāñ  tamām  hai  mīrās  mard-e-momin  kī
mire  kalām  pe  hujjat  hai  nuktā-e-laulāk