Allama Iqbal

fitrat ne na baKHsha mujhe andesha-e-chaalak

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938

fitrat ne na baḳhshā mujhe andesha-e-chālāk

rakhtī hai magar tāqat-e-parvāz mirī ḳhaak

vo ḳhaak ki hai jis junūñ saiqal-e-idrāk

vo ḳhaak ki jibrīl hai jis se qabā chaak

vo ḳhaak ki parvā-e-nasheman nahīñ rakhtī

chuntī nahīñ pahnā-e-chaman se ḳhas o ḳhāshāk

is ḳhaak ko allāh ne baḳhshe haiñ vo aañsū

kartī hai chamak jin sitāroñ ko araq-nāk

Top Urdushayar.com