na  ho  tuġhyān-e-mushtāqī  to  maiñ  rahtā  nahīñ  baaqī
ki  merī  zindagī  kyā  hai  yahī  tuġhyān-e-mushtāqī
mujhe  fitrat  navā  par  pai-ba-pai  majbūr  kartī  hai
abhī  mahfil  meñ  hai  shāyad  koī  dard-āshnā  baaqī
vo  ātish  aaj  bhī  terā  nasheman  phūñk  saktī  hai
talab  sādiq  na  ho  terī  to  phir  kyā  shikva-e-sāqī
na  kar  afrañg  kā  andāza  us  kī  tābnākī  se
ki  bijlī  ke  charāġhoñ  se  hai  is  jauhar  kī  barrāqī
diloñ  meñ  valvale  āfāq-gīrī  ke  nahīñ  uThte
nigāhoñ  meñ  agar  paidā  na  ho  andāz-e-āfāqī
ḳhizāñ  meñ  bhī  kab  aa  saktā  thā  maiñ  sayyād  kī  zad  meñ
mirī  ġhammāz  thī  shāḳh-e-nasheman  kī  kam  aurāqī
ulaT  jā.eñgī  tadbīreñ  badal  jā.eñgī  taqdīreñ
haqīqat  hai  nahīñ  mere  taḳhayyul  kī  hai  ḳhallāqī