Allama Iqbal

عجب واعظ کي دينداري ہے يا رب

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938

tujhe yaad kyā nahīñ hai mire dil vo zamāna

vo adab-gah-e-mohabbat vo nigah tāziyāna

ye butān-e-asr-e-hāzir ki bane haiñ madrase meñ

na adā-e-kāfirāna na tarāsh-e-āzrāna

nahīñ is khulī fazā meñ koī gosha-e-farāġhat

ye jahāñ ajab jahāñ hai na qafas na āshiyāna

rag-e-tāk muntazir hai tirī bārish-e-karam

ki ajam ke mai-kadoñ meñ na rahī mai-e-muġhāna

mire ham-safīr ise bhī asar-e-bahār samjhe

unheñ kyā ḳhabar ki kyā hai ye navā-e-āshiqāna

Top Urdushayar.com