tujhe  yaad  kyā  nahīñ  hai  mire  dil  kā  vo  zamāna
vo  adab-gah-e-mohabbat  vo  nigah  kā  tāziyāna
ye  butān-e-asr-e-hāzir  ki  bane  haiñ  madrase  meñ
na  adā-e-kāfirāna  na  tarāsh-e-āzrāna
nahīñ  is  khulī  fazā  meñ  koī  gosha-e-farāġhat
ye  jahāñ  ajab  jahāñ  hai  na  qafas  na  āshiyāna
rag-e-tāk  muntazir  hai  tirī  bārish-e-karam  kī
ki  ajam  ke  mai-kadoñ  meñ  na  rahī  mai-e-muġhāna
mire  ham-safīr  ise  bhī  asar-e-bahār  samjhe
unheñ  kyā  ḳhabar  ki  kyā  hai  ye  navā-e-āshiqāna
mire  ḳhaak  o  ḳhuuñ  se  tū  ne  ye  jahāñ  kiyā  hai  paidā
sila-e-shahid  kyā  hai  tab-o-tāb-e-jāvedāna
tirī  banda-parvarī  se  mire  din  guzar  rahe  haiñ
na  gila  hai  dostoñ  kā  na  shikāyat-e-zamāna