Allama Iqbal

phir charagh-e-lala se raushan hue koh o daman

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
phir charāġh-e-lāla se raushan hue koh o daman
mujh ko phir naġhmoñ pe uksāne lagā murġh-e-chaman
phuul haiñ sahrā meñ yā pariyāñ qatār andar qatār
uude uude niile niile piile piile pairahan
barg-e-gul par rakh ga.ī shabnam kā motī bād-e-sub.h
aur chamkātī hai us motī ko sūraj kī kiran
husn-e-be-parvā ko apnī be-naqābī ke liye
hoñ agar shahroñ se ban pyāre to shahr achchhe ki ban
apne man meñ Duub kar pā jā surāġh-e-zindagī
tū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban
man kī duniyā man kī duniyā soz o mastī jazb o shauq
tan kī duniyā tan kī duniyā suud o saudā makr o fan
man kī daulat haath aatī hai to phir jaatī nahīñ
tan kī daulat chhāñv hai aatā hai dhan jaatā hai dhan
man kī duniyā meñ na paayā maiñ ne afrañgī kā raaj
man kī duniyā meñ na dekhe maiñ ne shaiḳh o barhaman
paanī paanī kar ga.ī mujko qalandar kī ye baat
tū jhukā jab ġhair ke aage na man terā na tan
Top Urdushayar.com