pūchh  us  se  ki  maqbūl  hai  fitrat  kī  gavāhī
tū  sāhib-e-manzil  hai  ki  bhaTkā  huā  raahī
kāfir  hai  musalmāñ  to  na  shāhī  na  faqīrī
momin  hai  to  kartā  hai  faqīrī  meñ  bhī  shāhī
kāfir  hai  to  shamshīr  pe  kartā  hai  bharosā
momin  hai  to  be-teġh  bhī  laḌtā  hai  sipāhī
kāfir  hai  to  hai  tāba-e-taqdīr  musalmāñ
momin  hai  to  vo  aap  hai  taqdīr-e-ilāhī
maiñ  ne  to  kiyā  parda-e-asrār  ko  bhī  chaak
derīna  hai  terā  maraz-e-kor-nigāhī