samā  saktā  nahīñ  pahnā-e-fitrat  meñ  mirā  saudā
ġhalat  thā  ai  junūñ  shāyad  tirā  andāza-e-sahrā
ḳhudī  se  is  tilism-e-rañg-o-bū  ko  toḌ  sakte  haiñ
yahī  tauhīd  thī  jis  ko  na  tū  samjhā  na  maiñ  samjhā
nigah  paidā  kar  ai  ġhāfil  tajallī  ain-e-fitrat  hai
ki  apnī  mauj  se  begāna  rah  saktā  nahīñ  dariyā
raqābat  ilm  o  irfāñ  meñ  ġhalat-bīnī  hai  mimbar  kī
ki  vo  hallāj  kī  suulī  ko  samjhā  hai  raqīb  apnā
ḳhudā  ke  paak  bandoñ  ko  hukūmat  meñ  ġhulāmī  meñ
zirah  koī  agar  mahfūz  rakhtī  hai  to  istiġhnā
na  kar  taqlīd  ai  jibrīl  mere  jazb-o-mastī  kī
tan-āsāñ  arshiyoñ  ko  zikr  o  tasbīh  o  tavāf  aulā
bahut  dekhe  haiñ  maiñ  ne  mashriq  o  maġhrib  ke  mai-ḳhāne
yahāñ  saaqī  nahīñ  paidā  vahāñ  be-zauq  hai  sahbā