samā  saktā  nahīñ  pahnā-e-fitrat  meñ  mirā  saudā
ġhalat  thā  ai  junūñ  shāyad  tirā  andāza-e-sahrā
ḳhudī  se  is  tilism-e-rañg-o-bū  ko  toḌ  sakte  haiñ
yahī  tauhīd  thī  jis  ko  na  tū  samjhā  na  maiñ  samjhā
nigah  paidā  kar  ai  ġhāfil  tajallī  ain-e-fitrat  hai
ki  apnī  mauj  se  begāna  rah  saktā  nahīñ  dariyā
raqābat  ilm  o  irfāñ  meñ  ġhalat-bīnī  hai  mimbar  kī
ki  vo  hallāj  kī  suulī  ko  samjhā  hai  raqīb  apnā
ḳhudā  ke  paak  bandoñ  ko  hukūmat  meñ  ġhulāmī  meñ
zirah  koī  agar  mahfūz  rakhtī  hai  to  istiġhnā
na  kar  taqlīd  ai  jibrīl  mere  jazb-o-mastī  kī
tan-āsāñ  arshiyoñ  ko  zikr  o  tasbīh  o  tavāf  aulā
bahut  dekhe  haiñ  maiñ  ne  mashriq  o  maġhrib  ke  mai-ḳhāne
yahāñ  saaqī  nahīñ  paidā  vahāñ  be-zauq  hai  sahbā
na  īrāñ  meñ  rahe  baaqī  na  tūrāñ  meñ  rahe  baaqī
vo  bande  faqr  thā  jin  kā  halāk-e-qaisar-o-kisrā
yahī  shaiḳh-e-haram  hai  jo  churā  kar  bech  khātā  hai
galīm-e-būzar  o  dalq-e-uves  o  chādar-e-zahrā
huzūr-e-haq  meñ  isrāfīl  ne  merī  shikāyat  kī
ye  banda  vaqt  se  pahle  qayāmat  kar  na  de  barpā
nidā  aa.ī  ki  āshob-e-qayāmat  se  ye  kyā  kam  hai
'  girafta  chīniyāñ  ehrām  o  makkī  ḳhufta  dar  bat.hā
labālab  shīsha-e-tahzīb-e-hāzir  hai  mai-e-lā  se
magar  saaqī  ke  hāthoñ  meñ  nahīñ  paimāna-e-illā
dabā  rakkhā  hai  is  ko  zaḳhma-var  kī  tez-dastī  ne
bahut  nīche  suroñ  meñ  hai  abhī  europe  kā  vāvailā
isī  dariyā  se  uThtī  hai  vo  mauj-e-tund-jaulāñ  bhī
nahañgoñ  ke  nasheman  jis  se  hote  haiñ  tah-o-bālā
ġhulāmī  kyā  hai  zauq-e-husn-o-zebā.ī  se  mahrūmī
jise  zebā  kaheñ  āzād  bande  hai  vahī  zebā
bharosā  kar  nahīñ  sakte  ġhulāmoñ  kī  basīrat  par
ki  duniyā  meñ  faqat  mardān-e-hur  kī  aañkh  hai  biinā
vahī  hai  sāhib-e-imroz  jis  ne  apnī  himmat  se
zamāne  ke  samundar  se  nikālā  gauhar-e-fardā
farañgī  shīshagar  ke  fan  se  patthar  ho  ga.e  paanī
mirī  iksīr  ne  shīshe  ko  baḳhshī  saḳhtī-e-ḳhārā
rahe  haiñ  aur  haiñ  fir.aun  merī  ghaat  meñ  ab  tak
magar  kyā  ġham  ki  merī  āstīñ  meñ  hai  yad-e-baizā
vo  chiñgārī  ḳhas-o-ḳhāshāk  se  kis  tarah  dab  jaa.e
jise  haq  ne  kiyā  ho  nīstāñ  ke  vāste  paidā
mohabbat  ḳheshtan  biinī  mohabbat  ḳheshtan  daarī
mohabbat  āstān-e-qaisar-o-kisrā  se  be-parvā
ajab  kyā  gar  mah  o  parvīñ  mire  naḳhchīr  ho  jaa.eñ
ki  bar  fitrāk-e-sāhib  daulat-e-bastam  sar-e-ḳhud  rā
vo  dāna-e-subul  ḳhatmur-rusul  maulā-e-kul  jis  ne
ġhubār-e-rāh  ko  baḳhshā  faroġh-e-vādī-e-sīnā
nigāh-e-ishq  o  mastī  meñ  vahī  avval  vahī  āḳhir
vahī  qur.āñ  vahī  furqāñ  vahī  yāsīñ  vahī  taahā
'sanā.ī'  ke  adab  se  maiñ  ne  ġhavvāsī  na  kī  varna
abhī  is  bahr  meñ  baaqī  haiñ  lākhoñ  lūlu-e-lālā