Allama Iqbal

na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
na tū zamīñ ke liye hai na āsmāñ ke liye
jahāñ hai tere liye tū nahīñ jahāñ ke liye
ye aql o dil haiñ sharar shola-e-mohabbat ke
vo ḳhār-o-ḳhas ke liye hai ye nīstāñ ke liye
maqām-e-parvarish-e-āh-o-lāla hai ye chaman
na sair-e-gul ke liye hai na āshiyāñ ke liye
rahegā raavī o niil o furāt meñ kab tak
tirā safīna ki hai bahr-e-be-karāñ ke liye
nishān-e-rāh dikhāte the jo sitāroñ ko
taras ga.e haiñ kisī mard-e-rāh-dāñ ke liye
nigah buland suḳhan dil-navāz jaañ pur-soz
yahī hai raḳht-e-safar mīr-e-kārvāñ ke liye
zarā sī baat thī andesha-e-ajam ne use
baḌhā diyā hai faqat zeb-e-dāstāñ ke liye
mire gulū meñ hai ik naġhma jibra.īl-āshob
sambhāl kar jise rakkhā hai lā-makāñ ke liye
Top Urdushayar.com