na  tū  zamīñ  ke  liye  hai  na  āsmāñ  ke  liye
jahāñ  hai  tere  liye  tū  nahīñ  jahāñ  ke  liye
ye  aql  o  dil  haiñ  sharar  shola-e-mohabbat  ke
vo  ḳhār-o-ḳhas  ke  liye  hai  ye  nīstāñ  ke  liye
maqām-e-parvarish-e-āh-o-lāla  hai  ye  chaman
na  sair-e-gul  ke  liye  hai  na  āshiyāñ  ke  liye
rahegā  raavī  o  niil  o  furāt  meñ  kab  tak
tirā  safīna  ki  hai  bahr-e-be-karāñ  ke  liye
nishān-e-rāh  dikhāte  the  jo  sitāroñ  ko
taras  ga.e  haiñ  kisī  mard-e-rāh-dāñ  ke  liye
nigah  buland  suḳhan  dil-navāz  jaañ  pur-soz
yahī  hai  raḳht-e-safar  mīr-e-kārvāñ  ke  liye
zarā  sī  baat  thī  andesha-e-ajam  ne  use
baḌhā  diyā  hai  faqat  zeb-e-dāstāñ  ke  liye
mire  gulū  meñ  hai  ik  naġhma  jibra.īl-āshob
sambhāl  kar  jise  rakkhā  hai  lā-makāñ  ke  liye