Allama Iqbal

kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
kabhī ai haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz meñ
ki hazāroñ sajde taḌap rahe haiñ mirī jabīn-e-niyāz meñ
tarab-āshnā-e-ḳharosh ho to navā hai mahram-e-gosh ho
vo sarod kyā ki chhupā huā ho sukūt-e-parda-e-sāz meñ
tū bachā bachā ke na rakh ise tirā aa.ina hai vo aa.ina
ki shikasta ho to azīz-tar hai nigāh-e-ā.īna-sāz meñ
dam-e-tauf kirmak-e-sham.a ne ye kahā ki vo asar-e-kuhan
na tirī hikāyat-e-soz meñ na mirī hadīs-e-gudāz meñ
na kahīñ jahāñ meñ amaañ milī jo amaañ milī to kahāñ milī
mire jurm-e-ḳhāna-ḳharāb ko tire afv-e-banda-navāz meñ
na vo ishq meñ rahīñ garmiyāñ na vo husn meñ rahīñ shoḳhiyāñ
na vo ġhaznavī meñ taḌap rahī na vo ḳham hai zulf-e-ayāz maiñ
maiñ jo sar-ba-sajdā huā kabhī to zamīñ se aane lagī sadā
tirā dil to hai sanam-āshnā tujhe kyā milegā namāz meñ
Top Urdushayar.com