kabhī  ai  haqīqat-e-muntazar  nazar  aa  libās-e-majāz  meñ
ki  hazāroñ  sajde  taḌap  rahe  haiñ  mirī  jabīn-e-niyāz  meñ
tarab-āshnā-e-ḳharosh  ho  to  navā  hai  mahram-e-gosh  ho
vo  sarod  kyā  ki  chhupā  huā  ho  sukūt-e-parda-e-sāz  meñ
tū  bachā  bachā  ke  na  rakh  ise  tirā  aa.ina  hai  vo  aa.ina
ki  shikasta  ho  to  azīz-tar  hai  nigāh-e-ā.īna-sāz  meñ
dam-e-tauf  kirmak-e-sham.a  ne  ye  kahā  ki  vo  asar-e-kuhan
na  tirī  hikāyat-e-soz  meñ  na  mirī  hadīs-e-gudāz  meñ
na  kahīñ  jahāñ  meñ  amaañ  milī  jo  amaañ  milī  to  kahāñ  milī
mire  jurm-e-ḳhāna-ḳharāb  ko  tire  afv-e-banda-navāz  meñ
na  vo  ishq  meñ  rahīñ  garmiyāñ  na  vo  husn  meñ  rahīñ  shoḳhiyāñ
na  vo  ġhaznavī  meñ  taḌap  rahī  na  vo  ḳham  hai  zulf-e-ayāz  maiñ
maiñ  jo  sar-ba-sajdā  huā  kabhī  to  zamīñ  se  aane  lagī  sadā
tirā  dil  to  hai  sanam-āshnā  tujhe  kyā  milegā  namāz  meñ