tū  ai  asīr-e-makāñ  lā-makāñ  se  duur  nahīñ
vo  jalva-gāh  tire  ḳhāk-dāñ  se  duur  nahīñ
vo  marġh-zār  ki  bīm-e-ḳhizāñ  nahīñ  jis  meñ
ġhamīñ  na  ho  ki  tire  āshiyāñ  se  duur  nahīñ
ye  hai  ḳhulāsa-e-ilm-e-qalandarī  ki  hayāt
ḳhadañg-e-jasta  hai  lekin  kamāñ  se  duur  nahīñ
fazā  tirī  mah  o  parvīñ  se  hai  zarā  aage
qadam  uThā  ye  maqām  āsmāñ  se  duur  nahīñ
kahe  na  rāh-numā  se  ki  chhoḌ  de  mujh  ko
ye  baat  rāh-rav-e-nukta-dāñ  se  duur  nahīñ