Allama Iqbal

ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
ik dānish-e-nūrānī ik dānish-e-burhānī
hai dānish-e-burhānī hairat kī farāvānī
is paikar-e-ḳhākī meñ ik shai hai so vo terī
mere liye mushkil hai is shai kī nigahbānī
ab kyā jo fuġhāñ merī pahuñchī hai sitāroñ tak
tū ne hī sikhā.ī thī mujh ko ye ġhazal-ḳhvānī
ho naqsh agar bātil takrār se kyā hāsil
kyā tujh ko ḳhush aatī hai aadam kī ye arzānī
mujh ko to sikhā dī hai afrañg ne zindīqī
is daur ke mullā haiñ kyuuñ nañg-e-musalmānī
taqdīr shikan quvvat baaqī hai abhī is meñ
nādāñ jise kahte haiñ taqdīr kā zindānī
tere bhī sanam-ḳhāne mere bhī sanam-ḳhāne
donoñ ke sanam ḳhākī donoñ ke sanam faanī
Top Urdushayar.com