ik  dānish-e-nūrānī  ik  dānish-e-burhānī
hai  dānish-e-burhānī  hairat  kī  farāvānī
is  paikar-e-ḳhākī  meñ  ik  shai  hai  so  vo  terī
mere  liye  mushkil  hai  is  shai  kī  nigahbānī
ab  kyā  jo  fuġhāñ  merī  pahuñchī  hai  sitāroñ  tak
tū  ne  hī  sikhā.ī  thī  mujh  ko  ye  ġhazal-ḳhvānī
ho  naqsh  agar  bātil  takrār  se  kyā  hāsil
kyā  tujh  ko  ḳhush  aatī  hai  aadam  kī  ye  arzānī
mujh  ko  to  sikhā  dī  hai  afrañg  ne  zindīqī
is  daur  ke  mullā  haiñ  kyuuñ  nañg-e-musalmānī
taqdīr  shikan  quvvat  baaqī  hai  abhī  is  meñ
nādāñ  jise  kahte  haiñ  taqdīr  kā  zindānī
tere  bhī  sanam-ḳhāne  mere  bhī  sanam-ḳhāne
donoñ  ke  sanam  ḳhākī  donoñ  ke  sanam  faanī