ḳhizāñ  kī  rut  hai  janam-din  hai  aur  dhuāñ  aur  phuul
havā  bikher  ga.ī  mom-battiyāñ  aur  phuul
vo  log  aaj  ḳhud  ik  dāstāñ  kā  hissa  haiñ
jinheñ  aziiz  the  qisse  kahāniyāñ  aur  phuul
ye  sab  tire  mire  iz.hār  kī  alāmat  haiñ
shafaq  ke  rañg  meñ  sho.ala,  lahū,  zabāñ  aur  phuul
yaqīn  kar  ki  yahī  hai  bujhe  diloñ  kā  ilaaj
tirī  vafā  tirī  chāhat  tirā  gumāñ  aur  phuul
'zafar'  maiñ  sūrat-e-ḳhushbū  qayām  kartā  huuñ
so  ek  se  mujhe  lagte  haiñ  sab  makāñ  aur  phuul