yuuñ  haath  nahīñ  aatā  vo  gauhar-e-yak-dāna
yak-rañgī  o  āzādī  ai  himmat-e-mardāna
yā  sanjar  o  tuġhral  kā  ā.īn-e-jahāñgīrī
yā  mard-e-qalandar  ke  andāz-e-mulūkāna
yā  hairat-e-'fārābī'  yā  tāb-o-tab-e-'rūmī'
yā  fikr-e-hakīmāna  yā  jazb-e-kalīmāna
yā  aql  kī  rūbāhī  yā  ishq-e-yadul-lāhī
yā  hīla-e-afrañgī  yā  hamla-e-turkāna
yā  shar-e-musalmānī  yā  dair  kī  darbānī
yā  nāra-e-mastāna  kaaba  ho  ki  but-ḳhāna
miirī  meñ  faqīrī  meñ  shāhī  meñ  ġhulāmī  meñ
kuchh  kaam  nahīñ  bantā  be-jur.at-e-rindāna