ishq  se  paidā  navā-e-zindagī  meñ  zer-o-bam
ishq  se  miTTī  kī  tasvīroñ  meñ  soz-e-dam-ba-dam
aadmī  ke  reshe  reshe  meñ  samā  jaatā  hai  ishq
shāḳh-e-gul  meñ  jis  tarah  bād-e-sahar-gāhī  kā  nam
apne  rāziq  ko  na  pahchāne  to  muhtāj-e-mulūk
aur  pahchāne  to  haiñ  tere  gadā  daarā  o  jam
dil  kī  āzādī  shahanshāhī  shikam  sāmān-e-maut
faisla  terā  tire  hāthoñ  meñ  hai  dil  yā  shikam
ai  musalmāñ  apne  dil  se  pūchh  mullā  se  na  pūchh
ho  gayā  allāh  ke  bandoñ  se  kyuuñ  ḳhālī  haram