merī  navā-e-shauq  se  shor  harīm-e-zāt  meñ
ġhulġhula-hā-e-al-amāñ  but-kada-e-sifāt  meñ
huur  o  farishta  haiñ  asiir  mere  taḳhaiyyulāt  meñ
merī  nigāh  se  ḳhalal  terī  tajalliyāt  meñ
garche  hai  merī  justujū  dair  o  haram  kī  naqsha-band
merī  fuġhāñ  se  rustaḳhez  ka.aba  o  somnāt  meñ
gaah  mirī  nigāh-e-tez  chiir  ga.ī  dil-e-vajūd
gaah  ulajh  ke  rah  ga.ī  mere  tavahhumāt  meñ
tū  ne  ye  kyā  ġhazab  kiyā  mujh  ko  bhī  faash  kar  diyā
maiñ  hī  to  ek  raaz  thā  sīna-e-kā.enāt  meñ