faqr  ke  haiñ  mo.ajizāt  taaj  o  sarīr  o  sipāh
faqr  hai  mīroñ  kā  miir  faqr  hai  shāhoñ  kā  shaah
ilm  kā  maqsūd  hai  pāki-e-aql  o  ḳhirad
faqr  kā  maqsūd  hai  iffat-e-qalb-o-nigāh
ilm  faqīh  o  hakīm  faqr  masīh  o  kalīm
ilm  hai  jūyā-e-rāh  faqr  hai  dānā-e-rāh
faqr  maqām-e-nazar  ilm  maqām-e-ḳhabar
faqr  mastī  savāb  ilm  meñ  mastī  gunāh
ilm  kā  maujūd  aur  faqr  kā  maujūd  aur
ash.hado  an  lā  ilaah  ash.hado  an  lā  ilaah
chaḌhtī  hai  jab  faqr  kī  saan  pe  teġh-e-ḳhudī
ek  sipāhī  kī  zarb  kartī  hai  kār-e-sipāh
dil  agar  is  ḳhaak  meñ  zinda  o  bedār  ho
terī  nigah  toḌ  de  ā.īna-e-mehr-o-māh