gesū-e-tābdār  ko  aur  bhī  tābdār  kar
hosh  o  ḳhirad  shikār  kar  qalb  o  nazar  shikār  kar
ishq  bhī  ho  hijāb  meñ  husn  bhī  ho  hijāb  meñ
yā  to  ḳhud  āshkār  ho  yā  mujhe  āshkār  kar
tū  hai  muhīt-e-be-karāñ  maiñ  huuñ  zarā  sī  aabjū
yā  mujhe  ham-kanār  kar  yā  mujhe  be-kanār  kar
maiñ  huuñ  sadaf  to  tere  haath  mere  guhar  kī  aabrū
maiñ  huuñ  ḳhazaf  to  tū  mujhe  gauhar-e-shāhvār  kar
naġhma-e-nau-bahār  agar  mere  nasīb  meñ  na  ho
us  dam-e-nīm-soz  ko  tā.irak-e-bahār  kar
bāġh-e-bahisht  se  mujhe  hukm-e-safar  diyā  thā  kyuuñ
kār-e-jahāñ  darāz  hai  ab  mirā  intizār  kar
roz-e-hisāb  jab  mirā  pesh  ho  daftar-e-amal
aap  bhī  sharmsār  ho  mujh  ko  bhī  sharmsār  kar