ye  kaun  ġhazal-ḳhvāñ  hai  pur-soz  o  nashāt-añgez
andesha-e-dānā  ko  kartā  hai  junūñ-āmez
go  faqr  bhī  rakhtā  hai  andāz-e-mulūkāna
nā-puḳhta  hai  parvezī  be-saltanat-e-parvez
ab  hujra-e-sūfī  meñ  vo  faqr  nahīñ  baaqī
ḳhūn-e-dil-e-sherāñ  ho  jis  faqr  kī  dastāvez
ai  halqa-e-darveshāñ  vo  mard-e-ḳhudā  kaisā
ho  jis  ke  garebāñ  meñ  hañgāma-e-rustā-ḳhez
jo  zikr  kī  garmī  se  sho.ale  kī  tarah  raushan
jo  fikr  kī  sur.at  meñ  bijlī  se  ziyāda  tez
kartī  hai  mulūkiyyat  āsār-e-junūñ  paidā
allāh  ke  nishtar  haiñ  taimūr  ho  yā  chañgez
yuuñ  dād-e-suḳhan  mujh  ko  dete  haiñ  iraq  o  pāras
ye  kāfir-e-hindi  hai  be-teġh-o-sināñ  ḳhūñ-rez