Allama Iqbal

har chiz hai mahw-e-KHud-numai

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
har chiiz hai mahv-e-ḳhud-numā.ī
har zarra shahīd-e-kibriyā.ī
be-zauq-e-numūd zindagī maut
tāmīr-e-ḳhudī meñ hai ḳhudā.ī
raa.ī zor-e-ḳhudī se parbat
parbat zof-e-ḳhudī se raa.ī
taare āvāra o kam-āmez
taqdīr-e-vajūd hai judā.ī
ye pichhle pahar kā zard-rū chāñd
be-rāz o niyāz-e-āshnā.ī
terī qindīl hai tirā dil
tū aap hai apnī raushnā.ī
ik tū hai ki haq hai is jahāñ meñ
baaqī hai numūd-e-sīmyā.ī
haiñ uqda-kushā ye ḳhār-e-sahrā
kam kar gila-e-barhana-pā.ī
Top Urdushayar.com