har  chiiz  hai  mahv-e-ḳhud-numā.ī
har  zarra  shahīd-e-kibriyā.ī
be-zauq-e-numūd  zindagī  maut
tāmīr-e-ḳhudī  meñ  hai  ḳhudā.ī
raa.ī  zor-e-ḳhudī  se  parbat
parbat  zof-e-ḳhudī  se  raa.ī
taare  āvāra  o  kam-āmez
taqdīr-e-vajūd  hai  judā.ī
ye  pichhle  pahar  kā  zard-rū  chāñd
be-rāz  o  niyāz-e-āshnā.ī
terī  qindīl  hai  tirā  dil
tū  aap  hai  apnī  raushnā.ī
ik  tū  hai  ki  haq  hai  is  jahāñ  meñ
baaqī  hai  numūd-e-sīmyā.ī
haiñ  uqda-kushā  ye  ḳhār-e-sahrā
kam  kar  gila-e-barhana-pā.ī