ejaaz  hai  kisī  kā  yā  gardish-e-zamāna
TuuTā  hai  asia  meñ  sehr-e-firañgiyāna
tāmīr-e-āshiyāñ  se  maiñ  ne  ye  raaz  paayā
ahl-e-navā  ke  haq  meñ  bijlī  hai  āshiyāna
ye  bandagī  ḳhudā.ī  vo  bandagī  gadā.ī
yā  banda-e-ḳhudā  ban  yā  banda-e-zamāna
ġhāfil  na  ho  ḳhudī  se  kar  apnī  pāsbānī
shāyad  kisī  haram  kā  tū  bhī  hai  āstāna
ai  lā  ilaah  ke  vāris  baaqī  nahīñ  hai  tujh  meñ
guftār-e-dilbarāna  kirdār-e-qāhirāna
terī  nigāh  se  dil  sīnoñ  meñ  kāñpte  the
khoyā  gayā  hai  terā  jazb-e-qalañdarāna
rāz-e-haram  se  shāyad  'iqbāl'  bā-ḳhabar  hai
haiñ  is  kī  guftugū  ke  andāz  mahramāna