ḳhudī  kī  shoḳhī  o  tundī  meñ  kibr-o-nāz  nahīñ
jo  naaz  ho  bhī  to  be-lazzat-e-niyāz  nahīñ
nigāh-e-ishq  dil-e-zinda  kī  talāsh  meñ  hai
shikār-e-murda  sazā-vār-e-shahbāz  nahīñ
mirī  navā  meñ  nahīñ  hai  adā-e-mahbūbī
ki  bāñg-e-sūr-e-sarāfīl  dil-navāz  nahīñ
savāl-e-mai  na  karūñ  sāqi-e-farañg  se  maiñ
ki  ye  tarīqa-e-rindān-e-pāk-bāz  nahīñ
huī  na  aam  jahāñ  meñ  kabhī  hukūmat-e-ishq
sabab  ye  hai  ki  mohabbat  zamāna-sāz  nahīñ
ik  iztirāb  musalsal  ġhayāb  ho  ki  huzūr
maiñ  ḳhud  kahūñ  to  mirī  dāstāñ  darāz  nahīñ
agar  ho  zauq  to  ḳhalvat  meñ  paḌh  zubūr-e-ajam
fuġhān-e-nīm-shabī  be-navā-e-rāz  nahīñ