mīr-e-sipāh  nā-sazā  lashkariyāñ  shikasta  saf
aah  vo  tīr-e-nīm-kash  jis  kā  na  ho  koī  hadaf
tere  muhīt  meñ  kahīñ  gauhar-e-zindagī  nahīñ
DhūñD  chukā  maiñ  mauj  mauj  dekh  chukā  sadaf  sadaf
ishq-e-butāñ  se  haath  uThā  apnī  ḳhudī  meñ  Duub  jā
naqsh  o  nigār-e-dair  meñ  ḳhūn-e-jigar  na  kar  talaf
khol  ke  kyā  bayāñ  karūñ  sirr-e-maqām-e-marg  o  ishq
ishq  hai  marg-e-bā-sharaf  marg  hayāt-e-be-sharaf
sohbat-e-pīr-e-rūm  se  mujh  pe  huā  ye  raaz  faash
laakh  hakīm  sar-ba-jeb  ek  kalīm  sar-ba-kaf
misl-e-kalīm  ho  agar  mārka  aazmā  koī
ab  bhī  daraḳht-e-tūr  se  aatī  hai  bāñg-e-lā-taḳhaf