hazār  ḳhauf  ho  lekin  zabāñ  ho  dil  kī  rafīq
yahī  rahā  hai  azal  se  qalandaroñ  kā  tarīq
hujūm  kyuuñ  hai  ziyāda  sharāb-ḳhāne  meñ
faqat  ye  baat  ki  pīr-e-muġhāñ  hai  mard-e-ḳhalīq
ilāj-e-zof-e-yaqīñ  in  se  ho  nahīñ  saktā
ġharīb  agarche  haiñ  'rāzī'  ke  nukta-hā-e-daqīq
murīd-e-sāda  to  ro  ro  ke  ho  gayā  taa.ib
ḳhudā  kare  ki  mile  shaiḳh  ko  bhī  ye  taufīq
usī  tilism-e-kuhan  meñ  asiir  hai  aadam
baġhal  meñ  us  kī  haiñ  ab  tak  butān-e-ahd-e-atīq
mire  liye  to  hai  iqrār-e-bil-lisāñ  bhī  bahut
hazār  shukr  ki  mullā  haiñ  sāhib-e-tasdīq
agar  ho  ishq  to  hai  kufr  bhī  musalmānī
na  ho  to  mard-e-musalmāñ  bhī  kāfir  o  zindīq