dil-e-bedār  fārūqī  dil-e-bedār  karrārī
mis-e-ādam  ke  haq  meñ  kīmiyā  hai  dil  kī  bedārī
dil-e-bedār  paidā  kar  ki  dil  ḳhvābīda  hai  jab  tak
na  terī  zarb  hai  kaarī  na  merī  zarb  hai  kaarī
mashām-e-tez  se  miltā  hai  sahrā  meñ  nishāñ  us  kā
zan  o  taḳhmīñ  se  haath  aatā  nahīñ  āhū-e-tātārī
is  andeshe  se  zabt-e-āh  maiñ  kartā  rahūñ  kab  tak
ki  muġh-zāde  na  le  jaa.eñ  tirī  qismat  kī  chiñgārī
ḳhudāvandā  ye  tere  sāda-dil  bande  kidhar  jaa.eñ
ki  darveshī  bhī  ayyārī  hai  sultānī  bhī  ayyārī
mujhe  tahzīb-e-hāzir  ne  atā  kī  hai  vo  āzādī
ki  zāhir  meñ  to  āzādī  hai  bātin  meñ  giraftārī
tū  ai  maulā-e-yasrib  aap  merī  chārasāzī  kar
mirī  dānish  hai  afrañgī  mirā  īmāñ  hai  zunnārī