ye  pīrān-e-kalīsā-haram  ai  vā-e-majbūrī
sila  in  kī  kad-o-kāvish  kā  hai  sīnoñ  kī  be-nūrī
yaqīñ  paidā  kar  ai  nādāñ  yaqīñ  se  haath  aatī  hai
vo  darveshī  ki  jis  ke  sāmne  jhuktī  hai  faġhfūrī
kabhī  hairat  kabhī  mastī  kabhī  āh-e-sahar-gāhī
badaltā  hai  hazāroñ  rañg  merā  dard-e-mahjūrī
had-e-idrāk  se  bāhar  haiñ  bāteñ  ishq  o  mastī  kī
samajh  meñ  is  qadar  aayā  ki  dil  kī  maut  hai  duurī
vo  apne  husn  kī  mastī  se  haiñ  majbūr-e-paidā.ī
mirī  āñkhoñ  kī  bīnā.ī  meñ  haiñ  asbāb-e-mastūrī
koī  taqdīr  kī  mantiq  samajh  saktā  nahīñ  varna
na  the  turkān-e-usmānī  se  kam  turkān-e-taimurī
faqīrān-e-haram  ke  haath  'iqbāl'  aa  gayā  kyūñkar
mayassar  miir  o  sultāñ  ko  nahīñ  shahīn-e-kāfūrī