amīn-e-rāz  hai  mardān-e-hur  kī  darveshī
ki  jibra.īl  se  hai  us  ko  nisbat-e-ḳhveshī
kise  ḳhabar  ki  safīne  Dubo  chukī  kitne
faqīh  o  suufī  o  shā.ir  kī  nā-ḳhush-andeshī
nigāh-e-garm  ki  sheroñ  ke  jis  se  hosh  uḌ  jaa.eñ
na  āh-e-sard  ki  hai  gosfandī  o  meshī
tabīb-e-ishq  ne  dekhā  mujhe  to  farmāyā
tirā  maraz  hai  faqat  aarzū  kī  be-nīshī
vo  shai  kuchh  aur  hai  kahte  haiñ  jān-e-pāk  jise
ye  rañg  o  nam  ye  lahū  aab  o  naañ  kī  hai  beshī