ḳhudī  vo  bahr  hai  jis  kā  koī  kināra  nahīñ
tū  aabjū  ise  samjhā  agar  to  chāra  nahīñ
tilism-e-gumbad-e-gardūñ  ko  toḌ  sakte  haiñ
zujāj  kī  ye  imārat  hai  sañg-e-ḳhāra  nahīñ
ḳhudī  meñ  Dūbte  haiñ  phir  ubhar  bhī  aate  haiñ
magar  ye  hausla-e-mard-e-hech-kāra  nahīñ
tire  maqām  ko  anjum-shanās  kyā  jaane
ki  ḳhāk-e-zinda  hai  tū  tāba-e-sitāra  nahīñ
yahīñ  bahisht  bhī  hai  huur  o  jibra.īl  bhī  hai
tirī  nigah  meñ  abhī  shoḳhi-e-nazāra  nahīñ
mire  junūñ  ne  zamāne  ko  ḳhuub  pahchānā
vo  pairahan  mujhe  baḳhshā  ki  paara  paara  nahīñ
ġhazab  hai  ain-e-karam  meñ  baḳhīl  hai  fitrat
ki  lāl-e-nāb  meñ  ātish  to  hai  sharāra  nahīñ