hādsa  vo  jo  abhī  parda-e-aflāk  meñ  hai
aks  us  kā  mire  ā.īna-e-idrāk  meñ  hai
na  sitāre  meñ  hai  ne  gardish-e-aflāk  meñ  hai
terī  taqdīr  mire  nāla-e-bebāk  meñ  hai
yā  mirī  aah  meñ  hī  koī  sharar  zinda  nahīñ
yā  zarā  nam  abhī  tere  ḳhas-o-ḳhāshāk  meñ  hai
kyā  ajab  merī  navā-hā-e-sahar-gāhī  se
zinda  ho  jaa.e  vo  ātish  jo  tirī  ḳhaak  meñ  hai
toḌ  Dālegī  yahī  ḳhaak  tilsim-e-shab-o-roz
garche  uljhī  huī  taqdīr  ke  pechāk  meñ  hai