tire  ishq  kī  intihā  chāhtā  huuñ
mirī  sādgī  dekh  kyā  chāhtā  huuñ
sitam  ho  ki  ho  vada-e-be-hijābī
koī  baat  sabr-āzmā  chāhtā  huuñ
ye  jannat  mubārak  rahe  zāhidoñ  ko
ki  maiñ  aap  kā  sāmnā  chāhtā  huuñ
zarā  sā  to  dil  huuñ  magar  shoḳh  itnā
vahī  lan-tarānī  sunā  chāhtā  huuñ
koī  dam  kā  mehmāñ  huuñ  ai  ahl-e-mahfil
charāġh-e-sahar  huuñ  bujhā  chāhtā  huuñ
bharī  bazm  meñ  raaz  kī  baat  kah  dī
baḌā  be-adab  huuñ  sazā  chāhtā  huuñ