sitāroñ  se  aage  jahāñ  aur  bhī  haiñ
abhī  ishq  ke  imtihāñ  aur  bhī  haiñ
tahī  zindagī  se  nahīñ  ye  fazā.eñ
yahāñ  saikḌoñ  kārvāñ  aur  bhī  haiñ
qanā.at  na  kar  ālam-e-rañg-o-bū  par
chaman  aur  bhī  āshiyāñ  aur  bhī  haiñ
agar  kho  gayā  ik  nasheman  to  kyā  ġham
maqāmāt-e-āh-o-fuġhāñ  aur  bhī  haiñ
tū  shāhīñ  hai  parvāz  hai  kaam  terā
tire  sāmne  āsmāñ  aur  bhī  haiñ
isī  roz  o  shab  meñ  ulajh  kar  na  rah  jā
ki  tere  zamān  o  makāñ  aur  bhī  haiñ
ga.e  din  ki  tanhā  thā  maiñ  anjuman  meñ
yahāñ  ab  mire  rāz-dāñ  aur  bhī  haiñ