jugnū  kī  raushnī  hai  kāshāna-e-chaman  meñ
yā  sham.a  jal  rahī  hai  phūloñ  kī  anjuman  meñ
aayā  hai  āsmāñ  se  uḌ  kar  koī  sitāra
yā  jaan  paḌ  ga.ī  hai  mahtāb  kī  kiran  meñ
yā  shab  kī  saltanat  meñ  din  kā  safīr  aayā
ġhurbat  meñ  aa  ke  chamkā  gumnām  thā  vatan  meñ
takmā  koī  girā  hai  mahtāb  kī  qabā  kā
zarra  hai  yā  numāyāñ  sūraj  ke  pairahan  meñ
husn-e-qadīm  kī  ik  poshīda  ye  jhalak  thī
le  aa.ī  jis  ko  qudrat  ḳhalvat  se  anjuman  meñ
chhoTe  se  chāñd  meñ  hai  zulmat  bhī  raushnī  bhī
niklā  kabhī  gahan  se  aayā  kabhī  gahan  meñ