Allama Iqbal

KHirad ne mujhko ata ki nazar hakimana

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
ḳhirad ne mujh ko atā kī nazar hakīmāna
sikhā.ī ishq ne mujh ko hadīs-e-rindāna
na baada hai na surāhī na daur-e-paimāna
faqat nigāh se rañgīñ hai bazm-e-jānāna
mirī navā-e-pareshāñ ko shā.irī na samajh
ki maiñ huuñ mahram-e-rāz-e-durūn-e-mai-ḳhāna
kalī ko dekh ki hai tishna-e-nasīm-e-sahar
isī meñ hai mire dil kā tamām afsāna
koī batā.e mujhe ye ġhayāb hai ki huzūr
sab āshnā haiñ yahāñ ek maiñ huuñ begāna
farañg meñ koī din aur bhī Thahar jā.ūñ
mire junūñ ko sambhāle agar ye vīrāna
maqām-e-aql se āsāñ guzar gayā 'iqbāl'
maqām-e-shauq meñ khoyā gayā vo farzāna
Top Urdushayar.com