ḳhirad  ne  mujh  ko  atā  kī  nazar  hakīmāna
sikhā.ī  ishq  ne  mujh  ko  hadīs-e-rindāna
na  baada  hai  na  surāhī  na  daur-e-paimāna
faqat  nigāh  se  rañgīñ  hai  bazm-e-jānāna
mirī  navā-e-pareshāñ  ko  shā.irī  na  samajh
ki  maiñ  huuñ  mahram-e-rāz-e-durūn-e-mai-ḳhāna
kalī  ko  dekh  ki  hai  tishna-e-nasīm-e-sahar
isī  meñ  hai  mire  dil  kā  tamām  afsāna
koī  batā.e  mujhe  ye  ġhayāb  hai  ki  huzūr
sab  āshnā  haiñ  yahāñ  ek  maiñ  huuñ  begāna
farañg  meñ  koī  din  aur  bhī  Thahar  jā.ūñ
mire  junūñ  ko  sambhāle  agar  ye  vīrāna
maqām-e-aql  se  āsāñ  guzar  gayā  'iqbāl'
maqām-e-shauq  meñ  khoyā  gayā  vo  farzāna