Allama Iqbal

meri nawa se hue zinda aarif o aami

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938

mirī navā se hue zinda aarif o aamī

diyā hai maiñ ne unheñ zauq-e-ātish āshāmī

haram ke paas koī aajmī hai zamzama-sanj

ki taar taar hue jaama haa.e ehrāmī

haqīqat-e-abadī hai maqām-e-shabbīrī

badalte rahte haiñ andāz-e-kūfī o shāmī

mujhe ye Dar hai muqāmir haiñ puḳhta-kār bahut

na rañg laa.e kahīñ tere haath ḳhāmī

ajab nahīñ ki musalmāñ ko phir atā kar deñ

shikva-e-sanjar o faqr-e-juned o bastāmī

qabā-e-ilm o hunar lutf-e-ḳhās hai varna

tirī nigāh meñ thī merī nā-ḳhush andāmī

Top Urdushayar.com