matā-e-be-bahā  hai  dard-o-soz-e-ārzūmandī
maqām-e-bandagī  de  kar  na  luuñ  shān-e-ḳhudāvandī
tire  āzād  bandoñ  kī  na  ye  duniyā  na  vo  duniyā
yahāñ  marne  kī  pābandī  vahāñ  jiine  kī  pābandī
hijāb  iksīr  hai  āvāra-e-kū-e-mohabbat  ko
mirī  ātish  ko  bhaḌkātī  hai  terī  der-paivandī
guzar-auqāt  kar  letā  hai  ye  koh  o  bayābāñ  meñ
ki  shāhīñ  ke  liye  zillat  hai  kār-e-āshiyāñ-bandī
ye  faizān-e-nazar  thā  yā  ki  maktab  kī  karāmat  thī
sikhā.e  kis  ne  ismā.īl  ko  ādāb-e-farzandī
ziyārat-gāh-e-ahl-e-azm-o-himmat  hai  lahad  merī
ki  ḳhāk-e-rāh  ko  maiñ  ne  batāyā  rāz-e-alvandī
mirī  mashshātgī  kī  kyā  zarūrat  husn-e-ma.anī  ko
ki  fitrat  ḳhud-ba-ḳhud  kartī  hai  laale  kī  hinā-bandī