vahī  merī  kam-nasībī  vahī  terī  be-niyāzī
mire  kaam  kuchh  na  aayā  ye  kamāl-e-nai-navāzī
maiñ  kahāñ  huuñ  tū  kahāñ  hai  ye  makāñ  ki  lā-makāñ  hai
ye  jahāñ  mirā  jahāñ  hai  ki  tirī  karishma-sāzī
isī  kashmakash  meñ  guzrīñ  mirī  zindagī  kī  rāteñ
kabhī  soz-o-sāz-e-'rūmī'  kabhī  pech-o-tāb-e-'rāzī'
vo  fareb-ḳhurda  shāhīñ  ki  palā  ho  kargasoñ  meñ
use  kyā  ḳhabar  ki  kyā  hai  rah-o-rasm-e-shāhbāzī
na  zabāñ  koī  ġhazal  kī  na  zabāñ  se  bā-ḳhabar  maiñ
koī  dil-kushā  sadā  ho  ajamī  ho  yā  ki  taazī
nahīñ  faqr  o  saltanat  meñ  koī  imtiyāz  aisā
ye  sipah  kī  teġh-bāzī  vo  nigah  kī  teġh-bāzī
koī  kārvāñ  se  TuuTā  koī  bad-gumāñ  haram  se
ki  amīr-e-kārvāñ  meñ  nahīñ  ḳhū-e-dil-navāzī