asar  kare  na  kare  sun  to  le  mirī  fariyād
nahīñ  hai  daad  kā  tālib  ye  banda-e-āzād
ye  musht-e-ḳhāk  ye  sarsar  ye  vus.at-e-aflāk
karam  hai  yā  ki  sitam  terī  lazzat-e-ījād
Thahar  sakā  na  havā-e-chaman  meñ  ḳhema-e-gul
yahī  hai  fasl-e-bahārī  yahī  hai  bād-e-murād
qusūr-vār  ġharīb-ud-dayār  huuñ  lekin
tirā  ḳharāba  farishte  na  kar  sake  ābād
mirī  jafā-talabī  ko  duā.eñ  detā  hai
vo  dasht-e-sāda  vo  terā  jahān-e-be-buniyād
ḳhatar-pasand  tabī.at  ko  sāzgār  nahīñ
vo  gulsitāñ  ki  jahāñ  ghaat  meñ  na  ho  sayyād
maqām-e-shauq  tire  qudsiyoñ  ke  bas  kā  nahīñ
unhīñ  kā  kaam  hai  ye  jin  ke  hausle  haiñ  ziyād