ye  dair-e-kuhan  kyā  hai  ambār-e-ḳhas-o-ḳhāshāk
mushkil  hai  guzar  is  meñ  be-nāla-e-ātishnāk
naḳhchīr-e-mohabbat  kā  qissa  nahīñ  tūlānī
lutf-e-ḳhalish-e-paikāñ  āsūdgi-e-fitrāk
khoyā  gayā  jo  matlab  haftād  o  do  millat  meñ
samjhegā  na  tū  jab  tak  be-rañg  na  ho  idrāk
ik  shar-e-musalmānī  ik  jazb-e-musalmānī
hai  jazb-e-musalmānī  sirr-e-falak-ul-aflāk
ai  rahrav-e-farzāna  be-jazb-e-musalmānī
ne  rāh-e-amal  paidā  ne  shāḳh-e-yaqīñ  namnāk
ramzīñ  haiñ  mohabbat  kī  gustāḳhī  o  bebākī
har  shauq  nahīñ  gustāḳh  har  jazb  nahīñ  bebāk
fāriġh  to  na  baiThegā  mahshar  meñ  junūñ  merā
yā  apnā  garebāñ  chaak  yā  dāman-e-yazdāñ  chaak