tirī  nigāh  faromāya  haath  hai  kotāh
tirā  gunah  ki  naḳhīl-e-buland  kā  hai  gunāh
galā  to  ghoñT  diyā  ahl-e-madarsa  ne  tirā
kahāñ  se  aa.e  sadā  lā  ilaah  il-lallāh
ḳhudī  meñ  gum  hai  ḳhudā.ī  talāsh  kar  ġhāfil
yahī  hai  tere  liye  ab  salāh-e-kār  kī  raah
hadīs-e-dil  kisī  darvesh-e-be-galīm  se  pūchh
ḳhudā  kare  tujhe  tere  maqām  se  āgāh
barahna  sar  hai  to  azm-e-buland  paidā  kar
yahāñ  faqat  sar-e-shāhīñ  ke  vāste  hai  kulāh
na  hai  sitāre  kī  gardish  na  bāzi-e-aflāk
ḳhudī  kī  maut  hai  terā  zavāl-e-nemat-o-jāh
uThā  maiñ  madrasa  o  ḳhānqāh  se  ġhamnāk
na  zindagī  na  mohabbat  na  ma.arifat  na  nigāh