Allama Iqbal

KHird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
ḳhird-mandoñ se kyā pūchhūñ ki merī ibtidā kyā hai
ki maiñ is fikr meñ rahtā huuñ merī intihā kyā hai
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle
ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
maqām-e-guftugū kyā hai agar maiñ kīmiyā-gar huuñ
yahī soz-e-nafas hai aur merī kīmiyā kyā hai
nazar aa.iiñ mujhe taqdīr kī gahrā.iyāñ is meñ
na pūchh ai ham-nashīñ mujh se vo chashm-e-surma-sā kyā hai
agar hotā vo majzūb-e-farañgī is zamāne meñ
to 'iqbāl' us ko samjhātā maqām-e-kibriyā kyā hai
navā-e-sub.h-gāhī ne jigar ḳhuuñ kar diyā merā
ḳhudāyā jis ḳhatā kī ye sazā hai vo ḳhatā kyā hai
Top Urdushayar.com