ḳhird-mandoñ  se  kyā  pūchhūñ  ki  merī  ibtidā  kyā  hai
ki  maiñ  is  fikr  meñ  rahtā  huuñ  merī  intihā  kyā  hai
ḳhudī  ko  kar  buland  itnā  ki  har  taqdīr  se  pahle
ḳhudā  bande  se  ḳhud  pūchhe  batā  terī  razā  kyā  hai
maqām-e-guftugū  kyā  hai  agar  maiñ  kīmiyā-gar  huuñ
yahī  soz-e-nafas  hai  aur  merī  kīmiyā  kyā  hai
nazar  aa.iiñ  mujhe  taqdīr  kī  gahrā.iyāñ  is  meñ
na  pūchh  ai  ham-nashīñ  mujh  se  vo  chashm-e-surma-sā  kyā  hai
agar  hotā  vo  majzūb-e-farañgī  is  zamāne  meñ
to  'iqbāl'  us  ko  samjhātā  maqām-e-kibriyā  kyā  hai
navā-e-sub.h-gāhī  ne  jigar  ḳhuuñ  kar  diyā  merā
ḳhudāyā  jis  ḳhatā  kī  ye  sazā  hai  vo  ḳhatā  kyā  hai