saḳhtiyāñ  kartā  huuñ  dil  par  ġhair  se  ġhāfil  huuñ  maiñ
haa.e  kyā  achchhī  kahī  zālim  huuñ  maiñ  jāhil  huuñ  maiñ
maiñ  jabhī  tak  thā  ki  terī  jalva-pairā.ī  na  thī
jo  numūd-e-haq  se  miT  jaatā  hai  vo  bātil  huuñ  maiñ
ilm  ke  dariyā  se  nikle  ġhota-zan  gauhar-ba-dast
vaa.e  mahrūmī  ḳhazaf  chain  lab  sāhil  huuñ  maiñ
hai  mirī  zillat  hī  kuchh  merī  sharāfat  kī  dalīl
jis  kī  ġhaflat  ko  malak  rote  haiñ  vo  ġhāfil  huuñ  maiñ
bazm-e-hastī  apnī  ārā.ish  pe  tū  nāzāñ  na  ho
tū  to  ik  tasvīr  hai  mahfil  kī  aur  mahfil  huuñ  maiñ
DhūñDhtā  phirtā  huuñ  maiñ  'iqbāl'  apne-āp  ko
aap  hī  goyā  musāfir  aap  hī  manzil  huuñ  maiñ